~Kahaneyaan ab badal gaeen hain~

**Kahaaneyaan ab badal gaeen hain**

Jo sach thaa ab jhoot hogaya hai
Jo in mein suraj bana huwa tha
Woh shab ki tareek wadeyon mein utar gaya hai
Na koi thehreer jaagti hai, na ab koi harf bolta hai
Na aankh rastoo ko dekhti hai, na rah manzil se aashna hai
Woh sara manzar badal gaya hai…

Na ab zuban ki hatheleyoo per dua theharti hai nekeyoo ki
Hawa ne barbaad kar ke rakh deen
Anaa’yain masoom titleyoon ki
Na ab gulaboo mein woh mehak hai
Jo rah se bhatke musafiroo ko
Bahar mausam ki basteyoo ka pata bataye…

Na ab wafa ki woh basteyaan hain
Jo thakne waloo,
Jo apne pyaroo ki rehguzar se bicharne waloo ko hausla dain
Unhain dua dain
Yeh saari baatain kahaaneyaan hain…

Na ab woh aankhain hain
Jin mein khwaboo ke sare mausam
**Gulab mausam **bane huwe thay
Na ab woh shamain hain
Jin mein teri faraib baatain rafeeq lagti theen zehan-o-dil ko…

Na ab woh dil hai, na dil ke galeyoon mein woh lahu hai
Jo zindagi ban ke daurta thaa
Jo shaeeri ban ke pattharoo mein gudaz khushbo bikherta thaa
Woh sara manzar badal gaya hai
Na wasal ka koi khwaab baqi
Na ab woh harf-e-sukhan raha hai
Kahaaneyaan ab badal gaeen hain…

Tumhare jaane ke baad yun hai
Jo khwaab ankhoon mein
Chahatoon ka yaqeen ban kar thehar gaye thay
Woh khwaab sare bikhar gaye hain
Malaal dil mein uttar gaye hain…

Na zindagi hai, na zindagi mein wisal mausam ki chaah koi
Na shaeeri hai, na shaeeri mein jo dukh hai
Us se panaah koi
Jo sach thaa ab jhoot hogaya hai…

Jo in mein suraj bana huwa tha
Woh shab ki tareek wadeyon mein utar gaya hai

Kahaaneyaan ab badal gaeen hain…

Masha Allah bohat khoob

bahut khoob
kahaniyaan waqae jhoot hojati hain aksar .. gulab mausam :ahaa: ohh

sab kuch jhoot hi hota waisay!!!

nice one !

“Aaj ujaale ki kiran kho gayi zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din jab humne unse umeed rakhi
Aaj yeh khoob ho gaya ki hamien mohabbat se nafrat ho gayi…..”

Thanks Dilsay and Lamhay...

ABail jee humara udass honay ka koi mood nahi hay .. khair aghlay saal mood bana to aap ki posting ko phir say parrin gay.

Waisay bohut khoob thanks for sharing :k:

“Aaj yeh khoob ho gaya ki hamien mohabbat se nafrat ho gayi…..”

Wah Lamhay Jee :k:

very nice .......

Thanks Azad and amir... !