**Dard ki dil pe hakumat thi, kahan tha us waqt
Jb mujhe teri zarurat thi, kahan tha us waqt
Moat k sukh mein chala aya mujhe dekhne ko
Zinda rehne ki museebat thi, kahan tha us waqt
Dil k daryaoun mein ab rayt hai sehraon ki
Jb mujhe tjhse muhabbat thi, kahan tha us waqt**