system
1
Hama waqt ranj-o-malal kya jo guzar gaya, so guzar gaya
Ussey yaad ker kay na dil dukha jo guzar gaya, so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulooN maiN aik gulaab tha
Zara dair ka koi khuwaab tha jo guzar gaya, so guzar gaya
Ye safar bhi kitna taweel hai, yahaN waqt kitna qaleel hai
KahaN lout ker koi aaye ga jo guzar gaya, so guzar gaya
Woh wafaieN theeN k jafaaieN theeN, na ye sooch kis ki khataaieN theeN
Woh tera hai uss ko galey laga jo guzar gaya, so guzar gaya
Koi farq-e-shaah-o-gada nahiN yahaN kisi ki baqa nahiN
Ye ujaaR mehlooN ki sun sada jo guzar gaya, so guzar gaya
Tujhey aetabaar-o-yaqeen nahiN, nahiN duniya itni buri nahiN
Na malaal ker meray saath aa jo guzar gaya, so guzar gaya
– Bashir Badar
Azad
11
Tujhey aetabaar-o-yaqeen nahiN, nahiN meri piyass itni buri nahiN
Na malaal ker meray Haath aa jo Pee gaya, so woh Jee gaya.
Wah
Adab Arz
Azad
13
huh
bhai sudaii aap bazoqi ki akhair hud ho 
system
14
kuch bhi kahieN, mujhey koi farq nahiN paRta 

Azad
15
Haan farq to becharay aap kay parrosiyon ko parrta hay
system
16
parosiyoN ko kiyoN farq paRey ga? waisey bhi woh fazool baatieN nahiN suntey… 
Azad
18
Woh aisay keh … hummm Chalain janay dain … aaj mood nahi hay
Re: KahaN lout ker koi aaye ga jo guzar gaya, so guzar gaya —
:k: thanx for sharing :k: