mere saath tum bhii duaa karo yun kisii ke haq mein buraa na ho
kahiin aur ho na ye haadasaa koii raaste mein judaa na ho
mere ghar se raat kii sej tak vo ik aansuu kii lakiir hai
zaraa barh ke chaand se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho
sar-e-shaam Thaharii huii zamiin, aasamaan hai jhukaa huaa
isii mor par mere vaaste vo charaag le kar kharaa na ho
vo farishte aap hii dhuundhiye kahaaniyon kii kitaab mein
jo buraa kahen na buraa sune koii shakhs un se Khafaa na ho……