Ujaar lamho`N ki daastanien jo tum kaho tu sunayien tum ko
Boht sa hum jaag chuke hien chalo zara jagayien tum ko
Tum hee ho jo roshnii sii bun ker, hamari ankhon mien aa basay ho
Jub apni ankhien hee keh diya hai tu phir bhala kion rulayien tum ko
Ghubaar alood raasto`N mien talaash ker ker ke thak gaye hien
Kahaan pe ja ker basay ho kahan se hum dhoondh layien tum ko
Tumhein tu sukh aa gaye muyassar tumhien tu hum yaad nahi
Mgr ye bataou hum jo chahien tu kis tarah bhulayien tum ko
Kaho ke Jazib jhoot hai na ke tum ne us ko bhula diya hai
Abhi talak jis ki shookh yaadien hur ik lamha satayien tum ko
**
Behzaad Jazib**