kahaan hotay ho

Hijar mein khoon rulaatay ho, kahaan hotay ho
Laut kar kyon nahee aatay ho, kahaan hotay ho

Jab bhi milta hai koi shaks baharoon jaisa
Mujh ko tum kaise bhulaatay ho, kahaan hotay ho

Yaad aati hai akele mein tumhaari neendain
Kis tarah khud ko sulaatay ho, kahaan hotay ho

Mujh se bichray ho tu mehboob-e-nazar ho kis ke
Aaj kal kis ko manaatay ho, kahaan hotay ho

Shab ki tanhaee mein aksar yeh khayaal aata hai
Apne dukh kis ko sunaatay ho, kahaan hotay ho

Sard raatoon mein tumhein kaise bhula sakta hoon
Aag si dil mein lagaatay ho, kahaan hotay ho

Tum tu khushiyoon ki rafaqat ke leye bhichray thay
Ab agar ashk bahaatay ho, kahaan hotay ho

Shehar ke loug bhi ‘Wasiq’ yehi kartay hain sawaal
Ab bahut kam nazar aatay ho, kahaan hotay ho …

Re: kahaan hotay ho

:(

Bohat Umdah.......

Re: kahaan hotay ho

Shehar ke loug bhi 'Wasiq' yehi kartay hain sawaal
Ab bahut kam nazar aatay ho, kahaan hotay ho ...