Woh waadeyaan woh fizaayein ke hum mile thay jahaan
Meri wafa ka waheen per mazaar aaj bhi hai
Na jaane dekh ke kyon un ko yeh huwa ehsaas
Ke mere dil pe unhain ikhteyaar aaj bhi hai
Woh pyar jis ke leye hum ne chor di duniya
Wafa ki raah mein ghayyal woh pyar aaj bhi hai
Yaqeen nahee hai magar aaj bhi yeh lagta hai
Meri talaash mein shaayad bahaar aaj bhi hai
Na pooch kitne muhabbat ke zakhm khaaye hain
Ke jin ko soch ke dil saugwaar aaj bhi hai…*