Khiza’n raseeda chaman mein bahaar mushkil hae,
Tumhare baad kaheen aetbaar mushkil hae..
Kisi se is liye dushwar hae khafa hona,
Munany aaye ga hum ko b yaar mushkil hae..
Ajeeb raaz_e_junoon tha jo mere dil pe khula,
Teri gali mein b aa kar qraar mushkil hae..
Hmara kon hae ehl_e_jafa ki basti mein
Mily ga humein koi gham gusaar mushkil hae
Kahaan chaly ho muhabat khareedny
Mohsin
Ba’ghair sood k milna udhaar mushkil hae.