Kahan aa kay ruknay thay rastay!kahan mor tha! usay bhool ja
woh jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahee mila usay bhool ja
woh teray naseeb ki barishay kisi aur chat per baras gayin
dil-e-bekhabar meri baat sun, usay bhool ja usay bhool ja
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif
mein to gum tha teray hi dehan may, teri aas, terey gumaan may
saba keh gayi merey kaan mey, merey saath aa, usay bhool jaa
Kiyoon ata hoa hai ghubar main,ghum-e-zindigi kay fishar mein
woh jo darj tha terey bakht mein so woh ho gaya usay bhool ja
na woh aank teri aankh thi, na woh khuab hi tera khuab tha
dil-e-muntazir to yeh kis liyay tera jagna,usay bhool ja
jo basaat jaan hi ulat gaya, woh jo rastey say palat gaya’
usay roknay say hasool kiya, usay mat bula usay bhool ja
to yeh kis liyay shab-e-hijr kay usay har sitaray mein dekhna
woh falak k jis pay milay thay hum,koi aur tha usay bhool ja
tujhay chaand ban kay mila tha jo, terey sahiloon pey khila tha jo
woh tha eik darya wasaal ka so utar gaya, usay bhool ja
BY: AMJAD ISLAM AMJAD
I feared being alone until I learned to like myself ![]()