~*~ Kahaa jab bhi us se yeh darakhtoon pe aise khudaara koi apni nishani na choro ~*~

*Kabhi muskuraana kabhi rooth jaana, kabhi dil lubhaana kabhi dil jalaana
Kaha thaa na mein ne ke kal hum jo bichray tau yehi sab adaayain sataaya karengi

Haathoon pe aksar mera naam likh kar, labhoon se muhabbat ki mohrain lagaana
Bhala kya khabar thee ke yehi pyari baatain kabhi dil ko khoon bhi rulaya karengi

Kahaa jab bhi us se yeh darakhtoon pe aise khudaara koi apni nishaani na choro
Woh kehta thaa aksar chalo issi bahanay tumhein yaadain tau hamari aaya karengi

Teri hi zubaan ke yeh gul thay na dilbar kabhi jo bahaaroon ne munh tujh se morra
Tau hamari muhabbat ki masoon kaleyaan tere dil ka gulshan sajaaya karengi

Tabassum si nazmain tarannum si ghazlain tere sath mil kar hum likhtay rahenge
Diloon ki dhonoon pe muhabbat ke naghmay sada darkannain gun’gunaya karengi

Yeh bhi tera hi bayan thaa na jaanam ke kabhi jo andheron ne tujhe aan ghaira
Tau hamari nigaahain tere rastoon per sitaroon ki sham’main jalaaya karengi

Fiza ke laboon pe ab bhi rawaan hain teri saari qasmain tere sare waaday
Mujhe kya pata thaa tere baad hamdam hawaayain tere lafz dohraaya karengi

Khwaab har dikhaya magar yeh na bataya ke kya laut kar tu aa bhi sakeyga
Kabhi jo muraadoon ki pareshaan duawaayain tujhe do ghari ko bulaaya karengi …

Re: ~*~ Kahaa jab bhi us se yeh darakhtoon pe aise khudaara koi apni nishani na choro

Bohat Khoob **Arif **Bhai..:k: