Kaha tha na.......

Kaha tha na,
is tarah sotay huay mat chor k jana!
mujhey bayshak jaga daina,
bata daina,
muhabbat k safar mein
saath meray chal nahe sakteen,
badalna hai,
meri had se nikalna hai,
tumhain kis baat ka derr tha,
tumhe jaanay nahe daita,
Kahin per qaid ker laita,
Aray pagal muhabbat mein,
Zabardasti nahe hoti,
Jissay rusta badalna ho,
Isse rusta badalnay se
Jissay had say nikalna ho
isse had se nikalnay se,
Na koi roak paya hai,
Na koi roak paey ga,
Mujhey beshak jaga daiti,
Mein tum ko daikh hi laita,
Koi dua hi dai daita,
Tumharay baad khonay k liay,
Kuch bhi nahe baqi,
Magar kehnay say derta hoon,

Main ab sonay say derta hoon!

2 Likes

Re: Kaha tha na…

Kaha tha na,
is tarah sotay huay mat chor k jana!

pehlay batatee jhanjhoor detee :chai:

P.S nice

Re: Kaha tha na.......

Tumharay baad khonay k liay,
Kuch bhi nahe baqi,
Magar kehnay say derta hoon,

Main ab sonay say derta hoon!

it's awesome
great sharing