Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai...

Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai
jo youN kiya hai tu phir kyuN gila karoo uss sai

yee ahl-e-baaz tunak hausalaa sahi phir bhi
zara fasaana-e-dil ibteidaa karoo uss sai

ye kia k tum hi gham-e-hijr ke fasanay kahoo
kahbi tu uss ke bahaaney suna karoo uss sai

naseeb phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil meeN hooN wohi bateeN kiya karoo uss sai

Faraz taek-e-taaluqaat tu khair kia ho ga
yahi bohat hai k kam kam mila karoo uss sai

Re: Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai…

kia baat hai aap ki :k:

Re: Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai…

Wah :lajawab:

Re: Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai...

Good

Re: Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai...

kis naKhre se yeh baat samjhaayii hai 'NaKhre waali' ne! :D good selection. welcome to Poetry Forum :)

Re: Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai…

bus bari dair main yah baat samjh main aati hay :cobra:
kum kum mila karo :k:

Re: Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai…

Faraz taek-e-taaluqaat tu khair kia ho ga
yahi bohat hai k kam kam mila karoo uss sai

:lajawab:

Re: Kaha tha kis ne kay ehd-e-wafa karoo uss sai…

tauluq hade say barh jay to ghum miltay hain
iss he liye hum aap say kum miltay hain :sunnyboy: