Kaha na payar hai tum say
tou phir kiyun zid tumhari hai
ke jab bhi tum milo mujh say
yahi iqrar ho lab per
mujhay tum say muhabbat hai
tumhain ma’loom hai janan !!
muhabbat to muhabbat hai
ye to ankhon main dehakti hai
haseen say khwaab ki soorat
ye tu ik phool sa jazba hai
ke jis main rang bhi aur khshbo’on ka saath hota hai
buhat anmol jazba hai
ye izhar ki shiddat ka talib bhi nahin hota
buhat chup chaap sa jazba
dabay paon hi chala aata hai
magar jo naqsh iskay hain,
buhat hi gehray hotay hain
inhain kehna nahin parta
lab tau khamosh hotay hain, magar izhar hota hai
kabhi ankhon ki shookhi say
kabhi baton ki khushboo say
ye jazba chup nahin pata
ye sab batain hain meri janan, tumhain ma’loom hi to hain
tumhari hi kahi tou hain
to phir kiyun zid tumhari hai ke jab bhi
main milon tum say yahi izhar ho lab per
mujhay tum say muhabbat hai
magar tum janti ho na, tumhari baat ko janan
nahin main taal sakta hoon
chalo iqrar karta hoon
mujhay tum say muhabbat hai . !!