Kaesey chupauu’n raaz-e-gham deeda-e-tar ko kia karuu’n
dil ki tapish ko kia karuu’n soz-e-jigar ko kia karuu’n
shorish-e-aashqui kahan aur meri saadagi kahan
husn ko tere kia kahuu’n apni nazar ko kia karuu’n
haal mera tha jab batar tab na huee tumhe khabar
baad mere hua asar ab mein asar ko kia karuu’n
gham ka na dil mein ho guzar vasl ki shab ho yun basar
sab ye khabuul hai magar khauf-e-sahar ko kia karuu’n
Hasrat Mohani
muddii
3
Kaesey chupauu'n raaz-e-gham deeda-e-tar ko kia karuu'n
dil ki tapish ko kia karuu'n soz-e-jigar ko kia karuu'n
shorish-e-aashqui kahan aur meri saadagi kahan
husn ko tere kia kahuu'n apni nazar ko kia karuu'n
haal mera tha jab batar tab na huee tumhe khabar
baad mere hua asar ab mein asar ko kia karuu'n
gham ka na dil mein ho guzar vasl ki shab ho yun basar
sab ye khabuul hai magar khauf-e-sahar ko kia karuu'n
Hasrat Mohani
Zabardast:)