kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale
maathe pe tere aik jo shikan thi , mitaa chale

waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale

aaraam tha kuch aag ki garmi se zaKhm ko
aaye voh meri kabar par , shama bhujhaa chale

kaise banaoon us jagah khwaboon ka aashiyaan
har samit fareboon ki jahaan par hawaa chale

usne hamaari khwaahishen pairon tal’e raundiin
har aik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale

haathon ki lakiiron ko bajaa jaan kar chup hoon
kismat mein hai liKhaa jo uspe zor kya chale !

nakaam hasraton ko bhulaane kahaan jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale

“Lamhay” Yoon Ghum-e-yaar tu seene mein chupale
chehra bhi gar koi parhe , kuch na pataa chale !!!

Kiya baat hai....

by the way where have you been and where are you....

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

[/QUOTE]

:) Dilsay ji aab aap nay itna dilsay pocha hai tu main yahin kahin khoye theen zindagi k jhameelay main aur ab yahin hi hoon !!

yaar zindagi kay jahamalloon main say time nikal kar apnay chahnay waly dostoon ko deedar kara diya karoo.... aap ka kiya jata hai hum bas asay he apna khoon kam kartay rahtay....

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
yaar zindagi kay jahamalloon main say time nikal kar apnay chahnay waly dostoon ko deedar kara diya karoo.... aap ka kiya jata hai hum bas asay he apna khoon kam kartay rahtay....
[/QUOTE]

Araay na na khoon ko kam na karaye aaj kaal waisay bhi machar karachi shehar per chahaye huay hain deedar hogaya na ;)
waisay dil say ji aap bhi koi dilsay poetry post karain na beside shairs!!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

deedar rooz rooz howa kary to kiya baat hai.... karachi walay khush mismat hai ka aap ko dekh latay hain.... khas toor par wo sabzi wala... jis say aap rooz miltee hoo...
**
and seems like you did not read my posting Abb mujahay jana hai.... read and let me know...**

wasay main har kam dilsay he karta hoon... vo aap ka deedar ho ya poetry... ;)

Re: kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale
maathe pe tere aik jo shikan thi , mitaa chale

waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale

aaraam tha kuch aag ki garmi se zaKhm ko
aaye voh meri kabar par , shama bhujhaa chale

kaise banaoon us jagah khwaboon ka aashiyaan
har samit fareboon ki jahaan par hawaa chale

usne hamaari khwaahishen pairon tal'e raundiin

har aik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale

haathon ki lakiiron ko bajaa jaan kar chup hoon
kismat mein hai liKhaa jo uspe zor kya chale !

nakaam hasraton ko bhulaane kahaan jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale

"Lamhay" Yoon Ghum-e-yaar tu seene mein chupale
chehra bhi gar koi parhe , kuch na pataa chale !!!!!
[/QUOTE]

Mashallah ... kia khoob hain woh log jo mehktay howay zakhm day jatay hain .... thanks for sharing

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

deedar rooz rooz howa kary to kiya baat hai.... karachi walay khush mismat hai ka aap ko dekh latay hain.... khas toor par wo sabzi wala... jis say aap rooz miltee hoo...
**
and seems like you did not read my posting Abb mujahay jana hai.... read and let me know...**

wasay main har kam dilsay he karta hoon... vo aap ka deedar ho ya poetry... ;)
[/QUOTE]

Well sabzi wala akar guzar bhi jaye per hum nahi letay sabzi u know aaj kaal tu sabzi waloon ko fursaat kahan ghar ghar akar dey ab tu khudh jana parta hai market ;)
ji aap ki poetry parhi jawab nahin kia kehna dilsay likhi hai aap nay!
aap haar kaam dilsay kartay hain aur hamari poetry dilsay parhnay ka shukriya !!

Re: Re: kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Mashallah ... kia khoob hain woh log jo mehktay howay zakhm day jatay hain .... thanks for sharing
[/QUOTE]

Nawazish aap ki Azad ji !!

Re: Re: Re: kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

Nawazish aap ki Azad ji !!
[/QUOTE]

** Adaab **

*waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale *

wah kya baat hai..! beautiful!

[QUOTE]
*Originally posted by weteyes82: *
*waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale *

wah kya baat hai..! beautiful!
[/QUOTE]

thanks wet eyes!!

very nice

bohat khoob, Lamhay sis.. :k::k: