Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
**
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !
**
Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !
**
Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !
**
*Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko *
**
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
- Israr Ansari