Woh teri khudsari thi ya meri badnaseebi
Keh jo khaab bunn ke main ne tere naam likh diye they
Unnhe qabooliyat ka saaya janne raas kyun naa aaya
woh mohabbaton ke rishtey, woh inaayaton ki baatein
Jinhey khwaahishon ki rutt mein bas teri lau lagi thi
Unnhey be_khudi mein aa kar tu ne jaane kya kaha tha
Keh mere phool se jo lafz they, woh raakh ban gaye they!
Woh dil lagi thi teri ke tujhe zidd si ho gai thi
Keh meri chashm-e-muntazir tak woh paighaam kabhi naa ponhcha
Jisey dhuundtey huwe main teri nigaah tak tau aaya
Par jahan mohabbaton mein, lipta koi nishaan tak naa paaya
Yeh hai ussi pal ka Qissa jab khaamoshi se hum_dum
Teri be_rukhi ki dul_dul mein, harr khaab utar gaya tha
Main Waheen Pe Marr Gaya Tha....
Ab yehi dooriyan muqaddar hain mera
Main tere paas aa nahi sakta
Itne aansoo hain meri aankhon mein
Koi khwaab sajaa nahi sakta
Tujhko ye baat bataaun tau bataaun kaisey
Dil ka toota huwa aaina dikhaaun kaisey..
Main teri aankh sey ojhall ho jaaun ga
Door bohat door fizaaon mein kho jaaun ga
Meri yaadon se lipat kar roye ga tu bhi
Jab main zameen orh kar so jaaun ga..