Amal
February 1, 2011, 2:31pm
2
Re: kabhii yun b ho …
my very own ghazal… i wr0te it 2 years backk
baray logo se approve kerne k baad i m here to share it with you people
kabhii yun b ho k tum merii mohabbat kii kahanii likho
jo bahaaye tumhare firaaQ mein, un ashko`N kii rawanii likho
na simat saka sheher-e-dil, merii lutt gaii mata-e-hayaat
hoii ik yahan Qayamat bar-pa, merii bey-sarr-o-saamaani likho
mera durd-e-dil na sambhal saka k terii yaado`N ki chingaaryoN se
dil sulagta raha, jaan nikaltii rahii, thehR gaya aankh mei paani, likho
tum ne tu kaha tha laut0`N ga, hum duniya apnii basayieN ge
tujhe waada apna bhool gaya, ye baat hoii puranii, likho
tera haath jo choota mere hum-safar, kaheen kho gayee merii rah-guzaR
nhe katt sakayy ga ab tanha safaR, merii raaho`N mein hai weeranii, likhoo !!!
**
HH** bohat umda ghazal hey … maqta khaas tor par bohat khoob kaha aap ney :k: … baqi aashaar bhi umda heiN…jahaaN tak mujhey yaad parrta hey, ye aap ki pehli ghazal hey GS par. Right? Thanx for sharing it with us