kabhii ishQ hai haQiiQat kabhii ishQ hai fasaanah
mire dil ki dhaDkanoN ko kabhii tum nah aazmaanah
tere ishQ meN sitamgar ye kyaa aagayaa zamaanah
terii yaad, yaad aake mujhe kar gayii diwaanah
yahii baat baDte baDte kahiiN ban na jaaye vahshat
merii justajuu teraa dil terii aarzuu zamaanah
mere saath chalte chalte bujhe aasmaaN ke taare
nayii raushnii ke jugnuu mire saath tum nah aanaa
kise ham safar banaauuN maiN dil ke kaarwaaN kaa
nah merii hai koii manzil nah meraa koii Thikaanah
kabhii Qaafile se milkar kabhii Qaafile se bachkar
maiN chal rahaa huuN lekin ba-andaaz-e-maujizaanah
tere husn kii ghaTaaeN kahiiN aur jaa ke barse
abhii reth hai miraa dil ise yuN nah aazmaanah
mirii aarzuu ko baDhne koii uzr mil nah jaaye
mire dil ke aaiine meN kabhii tum nah muskuraanaa
chalii rasm-e-Khud-parastii banii saKht bazm-e-yaaraaN
ye atwaar munsifaanah ye guftaar naaQadaanah!
yahii soch ke chalaa hai ye “Alam” bhii shahr-e-KhuubaaN
kabhii raas aa bhii jaaaye ye andaaz-e-aashiQaanah
tirii guftaguu bhii “Alam” ho kyuNkar na ik tarannum
tujhe virse meN mile haiN ye alfaaz shaa’iraanah