kabhi..........

kabhi urtay phirtay sahaab mein usay dekhtay
kabhi khilkhilatay gulaab mein usay dekhtay

woh jadeed daur ka shakhs tha hamein umr bhar
yeh khalish rahi ke hijaab mein usay dekhtay

kisi din jo usko nikaal dete khayaal se
toa tamam shab kisi khwab mein usay dekhtay

jise hurf-e-aam samajh ke tumnay mitta diya
meri zindagi ki kitaab mein usay dekhtay

kuch ajeeb si koi pyaas thee sar-e-dasht-e-jaan
ke qadam qadam pe saraab mein usay dekhtay

               by:farhat abbas shah

Wah..

Zabardast:flower1:..

very good

tum jo hotay to kitna sahara hota
hum nain auron ko yuoon dukh mein na pukara hota

farhat abbas shah

humm

Jabar dast

thakay huey hein kuch itnay ke saans madham hai
jalay huey hein kuch aisay ke raakh urti hai

by: farhat abbas shah

thanx everyone:)

thanx a lot all of u

Nice:flower1:

[QUOTE]
*Originally posted by maheen sajid: *
thakay huey hein kuch itnay ke saans madham hai
jalay huey hein kuch aisay ke raakh urti hai

by: farhat abbas shah
[/QUOTE]

Magar kisi nay hum ko hamsafar nahi jana
Ya baat aur ahi ka hum sath sath sub kay gaya

wow that is soemthing really beautiful:k::k:
thanks for sharing:flower1: