KABHI.........

kabhii aah lab pe machal ga_ii kabhii ashk aa.Nkh se Dhal gaye

vo tumhaare Gam ke chiraaG hai.n kabhii bujh gaye kabhii jal gaye

mai.n Khayaal-o-Khvaab kii mahafile.n na baqadr-e-shauq sajaa sakaa
tumhaarii ik nazar ke saath hii mere sab iraade badal gaye

kabhii rang me.n kabhii ruup me.n kabhii chaa.Nv me.n kabhii dhuup me.n
kahii.n aafataab-e-nazar hai.n vo kahii.n maahataab me.n Dhal gaye

jo fanaa huye Gam-e-ishq me.n u.nhe.n zindagii kaa na Gam huaa
jo na apanii aag me.n jal sake vo paraa_ii aag me.n jal gaye

yaa u.nhe.n bhii merii tarah junuu.N to phir un me.n umjh me.n ye farq kyaa
mai.n giraft-e-Gam se na bach sakaa vo huduud-e-Gam se nikal gaye

Very nice:)

Re: KABHI…

bhot umda. :k:

Re: KABHI…

Buhat Khoob :chai:

Re: KABHI.........

beautiful..

Re: KABHI.........

waah umda!

Re: KABHI.........

Nice one..

bohat khoob!