~ Kabhi yun huwa na bhula sakay ~

[thumb=H]fenixnew417759_9048442.JPG[/thumb]

Kabhi yun huwa na bhula sakay
Kabhi yun ke yaad na aa sakay
Woh shab-o-roz jo tere saath mein
Ay jaan-e-jaan guzar gaye
Woh guzar gaye magar is tarah
Kabhi kho gaye teri yaad mein
Kabhi yaad se daman chura liya
Kabhi ro deyey yeh soch ke
Ke nibah-e-qol-o-qaraar mein
Kyon hum had se agay guzar gaye
Kabhi hans deyey yeh maan kar
Ke woh chaar din jo tere sath mein
Musarratton ke urooj thay
chalo woh tu achay guzar gaye
Woh wasal Lamhay guzar gaye
Woh firaaq Lamhay guzar gaye
Woh guzar gaye magar is tarah
Ke mein bayyaan bhi na kar sakoon
woh inayyatain woh azzeyyattain
Jo mein apni jaan pe utha chuki
In tamaam maah-o-saal mein
Mera ang ang jo thaa zakhm zakhm
So woh zakhm bhi kuch bhar gaye
Mein sochti hoon kabhi kabhi
Kyon woh wasal Lamhay guzar gaye
Kyon woh firaaq Lamhay guzar gaye
Kyon woh saaray Lamhay guzar gaye …

Re: ~ Kabhi yun huwa na bhula sakay ~

nice...thanx 4 sharing