Kabhi Yun Bhee Aa Mairee Ankh Main Keh Mairee Nazar koo Khabar Na Hoo
Mujhay Aik Raat Nawaz day, Magar Iss Kay Baad Saher Na Hoo
Woh Bara Rahim-o-Karim Hai Mujhay Yeh Sift Bhee Atta Karay
Tujhay Bhollnay Key Dua Karoon Too Mairee Dua Main Asar Na Hoo
Kabhi Din Key Dhoop Main Jhoom Kar Kabhi Shub Kay Phoolon Koo Choom Kar
Yun Hi Saath Saath Chulain Sada Kabhi Khatam Apna Safar Na Hoo
Mairay Paas Aa, Mairay Paas Aa Zara Oor Dil Kay Qareeb Aa
Tujhay Dharkanoon Main Busa Loon keh Bicharnay Ka Kabhi Dar Na Hoo
Mairay Bazouoon Main Thaki Thaki Abhe Mahavay Khawab Hai Chandnii
Na Utha Sitaroon Key Palkii, Abhee Ahatoon Ka Guzar Na Hoo
~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*