kabhi yaad tujhko aaye guzra huwaa zamanaa
tujhko qasam wafaa ki aaNsoo naH tu bahaana
milnaa hi do diloN ka dar-asal hai judaai
ulfat ka rang-o-gham say rishta hai yeH puranaa
ro ro kay keh rahe haiN armaan machal machal kay
duniya meiN naam-e-ulfat ashkoN ka hai kHazanaa
ai bulbul-e gulistaN tum yuN na muskuraao
poshida iss kHushi meiN gHam ka hai taranaa
ho jagah koi woH yaarab jahaaN chaaNd ho, naH taa-ray
naH to Dar ho bijliyoN ka, ghar ho naH aashiyana
apni “Rafik” jahan meiN bas arzoo yahi hai
kar-nay wafaa haiN aaye, kar-kay wafaa hai jaana .
----Kuch Tu Log Kehte Hein-----
kuchh to sun-kay haiN has-tay
to kuchh haiN ro-tay
te-ray me-ray qis-say ab bhi
haiN galiyoN meiN ho-tay
kuchh tu-jhay mu-jhay ilzaam de-tay haiN
kuchh tu-jhay mu-jhay nakaam keh-tay haiN
te-ray me-ray qis-say logoN kay
zubaan per aam reh-tay haiN
kuchh tu-jhay bewafaa keh-tay haiN
kuchh mu-jhay bewafaa keh-tay haiN
ishq kya balaa hai, log tera mera
naam le-kay keh-tay haiN
kuchh log tu-jhay badnaam kar-tay haiN
kuchh log mu-jhay badnaam kar-tay haiN
lekin ishq kay naam per
dono ko salaam de-tay haiN
kuchh log te-ray qabar per aa-tay haiN
kuchh log meri qabar per aa-tay haiN
hum phir jee uTheN-gay ek doo-jay kay
liye yeh dava kar-kay jaa-tay haiN