kabhi yaad aayo to is tarha
kay lahoo ki sari tamaztain
tumhay dhop dhop smait lain
tumhay rang rang nikhar dain
tumhay harf harf main soch lain
tumhay daikhnay ka jo shoq ho
to diyar-e hijr ki tergi
ko misha ki nok say noch lain
kabhi yaad aao to is tarha
kay dilo nazar main uter sako
kabhi had say habs-ejanon barhay
to hawas ban kar bikhar sako
kabhi khul sako shub-e wisl main
kabhi khun-e dil main sanawar sako
sir-rah guzar jo milo kabhi
na thar sako-----na guzar sako
maira dard phir say gazal banay
kabhi gungunaoo to is tarha
mairay zakhm phir say gulab hon
kabhi muskaraoo to is tarha
mairi darkhanain bhi laraz uthain
kabhi chot khayo to is tara
jo nahi to baray shoq say
sabhi rabtay sabhi zabtay
kabhi dhop chayoon main tor do
na shikast-e dil ka sitam saho
na suno kisi ka azab-e jan
na kisi say apni khalish kaho
yon hi khush phiro yon hi khiush raho
na ujar sakain na sanawar sakain kabhi dil dukhayoo to is tarha
na simat sakaiain na bikhar sakain
kabhi bhol jaoo to is tarha
kisi tor jan say guzar sakain
kabhi yaad aao to is tarha