http://i41.tinypic.com/4uxksy.jpg
Sabhi dardoon ka mere darmaan huwa karta thaa
Kabhi woh ajnabi meri jaan huwa karta thaa
Mere qadmoon se zameen tak cheen lene waalo
Sar per mere bhi aasmaan huwa karta thaa
Sab haar diya ab khonay ka kuch dar nahe
Kab jeena bhala yun aasaan huwa karta thaa
Yeh dil tumhi ko ek apna samjahta thaa
Yeh dil bhi kitna nadaan huwa karta thaa
Dard ki dhund hi sahi ab chehre pe mere
Kabhi tabassum meri pehchaan huwa karta thaa
Tum tau na aaye qabar pe meri magar mujhe
Har aahat pe tera gumaan huwa karta thaa
Kyun kahun tum ne tabaah kar diya mujhe
Tera ‘Mansoor’ pehle bhi raayegaan huwa karta thaa …
*