Kabhi Wakt Miley To Lout Ana

kabhi wakt miley to lout anaa kabhi dil karey to lout anaa

main ab bhi wheen hoon jahan chohr gey they tum mujhe jana
kitney mousam aee kitni ruten baldi kitney saal hogey aisey
par ab ke baar jo bahar aye uskey ke saath tum bhi zaroor ana
main wo din yaad karta hoon main wo raaten yaad karta hoon
jab tum kehti thi jonaiad jao abhi dair hogey bohat par kal jaldi ana
meri goud me sir rakh ke yoon laitey laitey meri taraf deikhna
or kabhi meri kisi baat pey nazren jhuka kar bohat sharmaana
wo tere honton ki surkhiyaan wo tere gaalon pe hayaa ki laalii
**jab me tujhe kaha karta tha kia kaha zara phir se to farmana **
**deikh lo me kuch bhi bhoola nahi sab yaad he mujhe aaj bhi **
kabhi dair ho janey se pareshan hona phir dourd ke meri taraf ana
tanhai dasney lagi he mujhe ab or tanha nahi rehna hemujhe **
** ajao is wadey ke saath ab aogi to phir kabhi wapis nahi jana