Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

**Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha,
Sab Ki Nazron Ka Woh Khuwab Hua Karta Tha,

Chand Sitaray Us K Samnay Maand Partay Thay,
Woh Toh Khud Mahtab Hua Karta Tha,

Lehja Aisa Tha Jaise Khilti Hui Kali,
Apni Baaton Mein Woh La-Jawab Hua Karta Tha,

Phir Yun Hua Ishq Ho Gaya Kissi Se,
Muhabbat Lafz Jis K Liye Mazak Hua Karta Tha…!!!**

Re: Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

**
Phir Yun Hua Ishq Ho Gaya Kissi Se,
Muhabbat Lafz Jis K Liye Mazak Hua Karta Tha…!!!

:khumar: ab aaya oont pahar ke neeche. phir kia huwa?
**

Re: Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

:hehe:…Phr kia hona tha…Aankh Khul ga`e…:cb:

Re: Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

yani khwab tha shayad khwab hi hoga.. sarhad per suna hai kal raat chali thi goli. sarhad per suna hai kuch sapno ka khoon huwa hai

Re: Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

hmm................:(

Re: Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

Lol .+.+@Muwaqee

Re: Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

+.+ kia nishani hai? hamen Maths nahi aata

Re: Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha

Yeh nishani nahin aik museebat hai jo mujh se chimat gaeee hai :(