**Kabhi us ka chehra Gulaab hua karta tha,
Sub ki nazron ka wo khuwab hua karta tha,
Chaand sitaarey us k samney maand partey thay,
Wo to khud mahtaab hua karta tha,
Lehja esa tha jesey khilti hui kali,
Apni baaton men wo la-jawab hua karta tha,
Phir yun hua usey ishq ho gaya kisi sey,
Mohabbat lafz jis k liye mazak hua karta tha,
Phir toot k bikhra esa k sambhal na paya,
Wo jo apni misaal ap hua karta tha,
Ab tanhayi k andheron men kahin gum hay,
Wo ek shakhs jo Aaftab hua karta tha…**