Kabhi tum nay yeh bhi socha

***Kabhi tum nay yeh bhi socha kay yeh pias hay tu keun hay ***
***Tujhay paa kay bhi mera dill yuon udas hay tu keun hay ***


***Mujhay keun azez tarr hay yeh dhuan dhuan sa mausam ***
***yeh hawaay sham-e-hijran mujhay raas hay tu keun hay ***


Tujhay khoo kay sochta hoon meray daaman-e-tallab mein
***koi khawab hay tu keun hay, koi aas hay tu keun hay ***


mein ujar kay bhi hon teara’ tu bichar kay bhi hay mera
***yeh yaqeen hay tu keun hay yeh qiyas hay tu keun hay ***


***kabhi poch iss kay dill say kay yeh khush mizaj sha’ir ***
***buhat appni sha’iri mein ju udas hay tu keun hay ***


Tera kiss nay dill bujhaya miray Aitbar Sajid
***yeh charagh-e-Hijar abb tak tiray pass hay tu keun hay ***


Re: Kabhi tum nay yeh bhi socha

nahi kabhi aisay nahi socha... :D

p.s. Wow very beautifyl

"Aaj bohot din baad suni hay baarish ki awaz"

Re: Kabhi tum nay yeh bhi socha

yeh tu achi baat hay na kay app nay kabhi aisay nahi socha aisay sochna sehat kay liay acha bhi nahi hota :D

anyhow thanx for appriciating

"Aaj bohot din baad suni hay baarish ki awaz" , Kashmir chalay jain wahan kafi barish ho rahi hay phir roz sunein gein LOL

Re: Kabhi tum nay yeh bhi socha

lakin ab to bohot dair ho gai hay, ye ghazal parhnay k foran baad hi main nay saisay sochna shuru kar diya to, ab kiya ho sakta hay, u r toooo late :stuck_out_tongue:

:smack2: “Baarish” tum ko kaha tha, ab ye bhi batana paray ga.

Re: Kabhi tum nay yeh bhi socha

:k:

Re: Kabhi tum nay yeh bhi socha

thanx Koyal :)

and Nakhan je yeh kin sochon mein parh gay app
kahir hum ziada say ziada duaay khair hi kar saktay hein na app kay liay so kar dein gein

any how yeh mujhay barish kiss context mein kaha hay
can you explain it with refrence plz :D

Re: Kabhi tum nay yeh bhi socha

^^ tsk tsk sirif duaay khair say kuch bannay wala nahi hay
ab mamla us say kafi agay ja cukha hay

ref: professor N.A.Khan ki book "Nicks of Faithful" k page # 329 k last peragraph main is ka zikar milta hay