maiN tumhaRay aks ki aaRzoo meiN bass aa’yina hi bani rahi kabhi tum na samnay aa sakay kabhi mujh pay gaRd paRi rahi
wo ajeeb shaam thi aaj tak meRay dil meiN uss ka malal hai
*meRi taRha jo teri muntaziR teRay rastay meiN khaRi rahi *
kabi waqf-e-hijR maiN ho ga’ee kabi khwab-e-wasl meiN kho ga’ee maiN faqeeR-e-ishq bani rahi maiN aseeR-e-yaad huwi rahi
** huwi uss say jab meRi baat b thi shaReek-e-daRrd wo zaat b tu na janay koN si cheez ki meRi zindgi meiN kami rahi
Re: kabhi tum na samnay aa sakay kabhi mujh pay gaRd paRi rahi
bahot aalaa Ghazal pesh kii hai...mujhe is Ghazal kii bahr bahot pasand hai...is men baRii naGhmagii hai...maiN ne to ise gungunaa kar paRhaa hai...bahot lutf aayaa :) shukria share karne ke liye :)

tu gungna kaR hamin b suna deejey na :) hum b dekhain fakhta kesay bolta :p
Re: kabhi tum na samnay aa sakay kabhi mujh pay gaRd paRi rahi
tu gungna kaR hamin b suna deejey na :) hum b dekhain fakhta kesay bolta :p
**
hahaha...ab agar sunaa diyaa to log be_hosh ho jaayeNge...vaise, iskii tarz maiN en bahooot paali paali shii banaayii hai :) dekhna merii si tarz pe kisi din koi baRaa singer sie gaayegaa :) haha...sachchii! :D**
Re: kabhi tum na samnay aa sakay kabhi mujh pay gaRd paRi rahi
Mushairaa :D haan ho to sakta hai magar mein sher kahaan se laoon gi :D
**
jangal se aur kahan se? jangal se pakaR ke laaiyegaa 10 fooT kaa :) zinda sher vo bhii 10 fooTaa :)**
Re: kabhi tum na samnay aa sakay kabhi mujh pay gaRd paRi rahi
**
hmmm…use kuchh khilaa pilaa ke le aaiyegaa…na khaaye piye to rishwat de dijiiyegaa aur agar phir bhi na maane to kah dijiyegaa zardari aanewaalaa hai tujhe pakaR ke le jaayegaa…tab aa jaayegaa :)**
Re: kabhi tum na samnay aa sakay kabhi mujh pay gaRd paRi rahi
**
hmmm...use kuchh khilaa pilaa ke le aaiyegaa...na khaaye piye to rishwat de dijiiyegaa aur agar phir bhi na maane to kah dijiyegaa zardari aanewaalaa hai tujhe pakaR ke le jaayegaa...tab aa jaayegaa :)**