Kabhi dil ki shama bhujown ga, kabhi jaan ki shama jalown ga
Tu wo raag he jise umer bhar,tere intzar main gown ga
Yehi aak gi main he weham sa, yehi aak sur main janoon he
Tujhe is janam main na pasaka, to kisi janam main na pown ga
Main hazaar tujh se alag rahon, tu hazaar mujh se juda rahe
Kahbi dard ban ke jagown ga, kabhi neend ban ke salown ga
Abhi apni khaak main keed hon, abhi tu bhi daam bala main he
Tu gulab ban ke khile ga jub, main saba ke room main awon ga
Tu jahan chale ga chalon ga main, tu jahan ruke ga rukon ga main
Teri reh-guzar ka gubar hon, kabhi tujh se duur na jown ga
Tera lams lams he aarzo, meri ang ang he justaju
Tu pukare ga mujhe kooh se, main kinaar gang balown ga
mere aftaab ne kya diye, mujhe qurbaton ka sila hasan
Abhi daag chaand ki dekh lo, kabhi daag apne dikhown ga…!!!
Hasan Naeem