http://www.angeleyes2.com/platinum/images/ani/ani118.gif
**Kabhi to khul kay baras abar-e-meharban kitarh
Mera vajood hai jaltay hue maka kitarh
Bharii bahaar kaa siinaa hai zakhm zakhm magar
Sabaa ne gaaye hain lorii shafiiq man kii tarah
Sakuut-e-dil to jaziiraa hai barf kaa lekin
Teraa Khuluus hai suuraj kay saayebaan kii tarah
Main ik khvaab sahii aap kii amaanat huun
Mujhe sambhaal ke rakhiye gaa jism-o-jaan kii tarah
Kabhii to soch ke vo shakhs kis qadar thaa buland
jo bichh gayaa tere qadmon mein aasmaan kii tarah
Bulaa rahaa hai mujhe phir kisii badan kaa basant
Guzar na jaaye ye rut bhii kahiin Khizaan kii tarah
Lahuu hai nisf sadii kaa jis ke aabagiine mein
Na dekh “Prem” use chashm-e-argvaan kii tarah
Sehar
2
:o
Thats a beautiful picture!
Nice gazal too. :)
Nice image :k:
Main ik khvaab sahii aap kii amaanat huun
Mujhe sambhaal ke rakhiye gaa jism-o-jaan kii tarah
Wah
Lamhay
6
Main ik khvaab sahii aap kii amaanat huun
Mujhe sambhaal ke rakhiye gaa jism-o-jaan kii tarah........
wonderful!
Amal
7
Beautiful ghazal:k:…thanx for sharing 
Re: kabhi to khul kay baras
very nice :k: