Kabhi to khul kay baras, Abr-e-mehrbaan ki tarah,
Mera vajood hai jaltay huey makan ki tarah !
Main ek khawab sahi, aap ki amaanat hoon,
Mujhay sambhal kay rakhiyega jism-o-jaan ki tarah !
Kabhi to soch ki woh shakhs kis kadar tha buland,
Jo juk gaya teray kadmon aasmaan ki tarah !
Bula raha hai mujhay phir kisi badan ka basant,
Guzar na jayey yeh rut bhi kahin khizan ki tarah !
Kabhi to khul kay baras, Abr-e-mehrbaan ki tarah,
Mera vajood hai jaltay huey makan ki tarah