wo gumaan gumaan sa qayas sa, kabhi dour sa kabhi paas sa
kabhi chandni mei chhupa huwa kabhi khushbuon mei basa huwa
kabhi sirf uski shahabaten, kabhi sirf uski hikayaten
kabhi sirf milne ke silsilayn,kabhi us se hi faasle
kabhi dour chalti hawaoun mein, kabhi meeah barasti ghataon mei
kabhi bad guman kabhi meherbaan, kabhi dhuup hae kabhi sayebaan
kabhi band dil ki kitab mein,kabhi lab khushaan wo khwaab mein
kabhi yun ke jaese sawaal ho, kabhi yun ke jaese khayal ho
kabhi dekhne ke hein silsilen ,kabhi sochne ke hein marhalein
kabhi sirf rung-e-bahaar sa, kabhi sirf ek ghubaar sa
kabhi dastaras ke qareeb qareeb, kabhi dour paas kahin nahi
ye jo ukhrra ukhrra sa shaqs hei, ye jo bikhra bikhra sa shaqs hei
PARVEEN SHAKIR