Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera

**kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yun he qarz barabar mera

toot jatay hain kabhi merae kinaray mujh say
doob jata hai kabhi mujh mein smndar mera

kisi sehra mein bicharr jayen gay sab yaar merae
kisi jungle mein bhatak jayae ga lashkar mera

bawafa tha tou mujahe poochnay waly bhi nah thay
bay wafa hon tou howa naam bhi ghar ghar mera

kitney hanstay huay mousam abhi atay lekin
aik he dhoop nay kamla diya manzar mera**

Re: Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera

:k:

Re: Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera

**bawafa tha tou mujahe poochnay waly bhi nah thay
bay wafa hon tou howa naam bhi ghar ghar mera

:k:**

Re: Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera

bawafa tha tou mujahe poochnay waly bhi nah thay

bay wafa hon tou howa naam bhi ghar ghar mera

Evil ka charcha zyadah :p

Re: Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera

Ji aisa hi kuch hota hy............

Re: Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera

Buraye he dikhti hai subko :frowning:
Jub mai acha kaam krti hoon…kisi ko nai dikhta…
Jub kaam he nai krti subko dikhta hai :mad: