Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain
Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain
Chupa kar baith jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain
Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othana bhool jatay hain
Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain
Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain
Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain
Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

:shireen:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

Wah. :k:

welcome to poetry and hope to see you posting regularly.

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

:smilestar: app her bar ice-cream khate hue hume kyu bhool jatay hain … :crying:

:smilestar: pyar se maang leteay!! Mujhe share karna ata hai!!!

Thank you :slight_smile:
I posted before too but it was in the other Poetry forum :cb:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

nice poetry with a yummy ice cream cone which wasn’t meant for us :frowning:

agar aise likheN to paRhne meN aasaanii hogii aur she’r bhii alag alag nazar aayeNge…thankoo :slight_smile:

Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chupa kar baith jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

Thanks!
I didn't write this. This is one of my mom's fave gazals.

But yea, you're right.
And I have more ice cream to share!! Ap lai gae? :)

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

lakin hume to zabardasti, cheen k khane mai maza aata hai … :frowning:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

Wah Nice :lajawab:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

:smack2:

Mai mama ko batao gi! :naraz:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

meri mama tmhari koi baat nhi sunne’gi … :mocking:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

Main jab biryani aur dahi balle unhe khilla ke roo roo k batao gi k ap mujhe tang kar rehe hain, phir dekh tay apki mama kiski baat sunti hain :barbie:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

voh dekhi balle nhi khati … hmmm y dnt u make her pasta … :smiley:

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

:lajawab:

ki gal e tuwadi @manoo

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

Alhumdulillah.
Tussi apna sunao PK ji :)

Re: Kabhi qurbat ke lamhon main thikana bhool jatay hain

Nice sharing :k: