Gilay chahay bohat karna
rulana aur bohat larna
Suno naraz mat hona
Kabhi Aisajo ho jai
kah teri yaad sey ghaafil
kisi lamhay jo hojaon
bina dekhay teri surat
kisi shab main jo so jaon
tou sapno main chalay aana
mujhay ahsaas dila jaana
suno naraz mat hona
kabhi aisa jo hojai
jinhain kahna zaroori ho
woh mujh sey lafz kho jayain
ana ko beech mat laana
meri awaz ban jana