^Kabhi Naraz Mat Hona^

Kabhi naraz mat hona
**
Agar main rooth jaon to,
Jo tum ko chor jaon to,
**
Gilay chahay bohat krna,
Rulana or bohat larna,
**
Suno naraz mat hona,
**
Kabhi aisa jo ho jaye
K teri yaad se ghafil
Kisi lamhay jo ho jaon
**
Bina dekhay teri surat
Kisi shab jo main so jaon
To sapnon mein chalay ana
**
Mujhay ehsas dila jana,
Suno naraz mat hona
**
Kabhi aisa jo ho jaye
Jinhen kehna zaroori ho,
Woh lafz jo mujh se kho jayen
**
Anaa ko beech mat lana,
Meri aawaz bun jana,
Kabhi naraz mat hona..
**

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

wah wah....bohot khoobsoorat....lutf aa gaya

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

ajeeb hai.pehli bar kuch mere halat k bar,aqs hai.
phir b achi hai.

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

beautiful.. buhat khoob.. :k:

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

v.nice..

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

Bohat khoob

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

OK Jee :~) :lajawab:

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

gud 1 :k:

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

gilay karna,larna,rona bus naraz na hona, what a requirement?

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

nice sharing

:k:

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

nice sharing

Very Nice:)

Amazinngggggg!!!!!!!!

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

beautiflu :lajawab:

Re: ^Kabhi Naraz Mat Hona^

vvvv nice :)