kabhi naa ho

Kyaa ye bhii zindagii hai k raahat kabhii na ho
Aisy bhii to kisii se mohabbat kabhii na ho
Vaadaa zaruur karte hain,aate nahii kabhii
Phir ye bhii chahte hain shikaayat kabhii na ho
Shaam-e-visaal bhii ye tagaaful ye beruKhii
Terii razaa hai mujhko musarrat kabhii na ho
Ahabaab ne diye hain mujhe kis tarah fareeb
Mujhsa bhii koii saadaa tabiiyat wala kabhii na ho
Lab to yeh kah rahe hain k uTh, barh k choom le
Aankhon ka ye ishaaraa k jurr’at kabhii na ho
Dil chahta hai phir wahii fursat k raat din
Mujhko to tere Khayaal se fursat kabhii na ho…

Re: kabhi naa ho

Beautiful..

Re: kabhi naa ho

Umda SHaring Ts Jee :)

Re: kabhi naa ho

very nice!

Re: kabhi naa ho

good one :k:

Re: kabhi naa ho

Its amazing! :lajawab: