Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti.....

**kabbhi lafz nai milttay, kabbhi baat nai milti
hon mehkay khawab jis main wo raat nai milti

sath chalny walon ko kion tu yun chor jata hai
ke tere hijar main unhay unhi ki zaat nai milti

kia kahon tum se Jaana! tujh se juda honay ke bad
hum ko apnay hi aks main, apni shanakht nai milti

tum ko apna keh paain, khud ko karain munslik tum se
humain haath ki lakeeron main, bas yehi baat nai milti**

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti…

Mod bantey hi aap to shaera bhi ban gaeiN… kya baat hey :):k: achi ghazal hey … thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti…

:hehe: ap hi ne to encourage kia warna main kahan likhti thi…:bummer:
Ghazal pasand karny ke liye shukariya…:slight_smile:

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti.....

bohat alaa inno...aik aik sher lajawab hai to kis kis ko qoute karun...zabardast.

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti.....

*** Kabhi "TUM" Nahin, Kabhi "HUM" Nahin

Pyaar ke liyey Chaar pal kum nahin thay

Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay

Pyaar ke haseen kab yeh mausm nahin thay....

Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay

Yeh Din barson ke baad aaya.......

Kuch tumhein , Kuch humein yaad aaya

Kasak phir yeh Dil mein uthi hai

honton pe baat aa ke ruki hai

Kabhi itney"Majboor" tou Hum nahin thay

Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay

Agar Tum yeh Dil maang letey

jaan-e-mun, hum tumhein jaan detey

Tumhein kaisey Hum bhool jaatey

mur ke bhi hum tumhein yaad aatey

Tumhein hai pata, "Be-wafa" hum nahin thay

Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay***

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti…

Thanks Shazia jee…:flowers:

awww..:slight_smile:
:k:
is it your own Samii??

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti…

nope ..but i like it alot … :smiley:

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti…

boht achi hai :k:

Re: Kabhi lafz nai miltay, kabhi baat nai milti…

i know :slight_smile: