Azziyat ki negehdari
agarche intehai mushkil he
magar is qariya qariya muntashir doori kay pardey par
nah janey kab kahan kiss nay sounp rakhi he, ajab beikhteyari he
safar apni tehooN mein keya chhupaye phir raha he
yeh safar hi janta he
hum musafir apney qadmoon ki safooN meiN gum
rasai say udhar kochh jhankney lagtey
to werani bhi hum ko ghar nazar aati
hamarey paas dukh to hain magar janaN
hameen apney dukhooN ko dil say behlaney ka hunar nahin aata
kaheen to dar khula rakhney ki aadat mein
parai chaap say mazroob hotey haiin
kaheen zakhmoon ki aadat mein kasak khoo baittey hain
ajnabiyat kay kissi ilzam say mansoob hotey hain
issey chhorho
main apni baat karta hoon
negehdari azziyat ki tumheen kab yaad ho gi
tum nay kiss ko, kab kahan zimmeydari lagayi thi
magar yeh dil dararhoon say bhari diwar-e-dil
tahta tumhari aazmaish ka
meri aankhoon say ab bhi jhankney lagta he hairat say
yeh pingra yeh nigehbaan paasdari ka
wareedoon mein laho ki gardisheen bhi us ko chubhti hain
tumheen ana naheen lekin
kissi ko bhaij kar bazar, kochh qaidi parindoon ko rehaa karwa diya karna
kabhi kochh yaad aaye to…
-Farhat A. Shah