**Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhna
Humain bhi yaad aaj tak wo
Nazar se harf-e-salam likhna
Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhna
Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhna
Wo chand Chehre wo behki baatain
Sulagte din the, mehekti raatain
Wo chand Chehre wo behki baatain
Sulagte din the, mehekti raatain
Wo chotte chotte se kaaghazon per
Mohabbaton ke pyaam likhna
Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhna
Gulaab chehron se dil lagaana
Wo chupke chupke nazar milaana
Gulaab chehron se dil lagaana
Wo chupke chupke nazar milaana
Wo aarzuon ke khwaab bunnaaa
Wo kissa-e-na tamaam likhna
Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhna
Mere nagar ki haseen fizaao
Kahin jo un kaa nishaan paao
Mere nagar ki haseen fizaao
Kahin jo un kaa nishaan paao
To poochna yeh kahaan basse wo
To poochna yeh kahaan basse wo
Kahan hai un ka kayaam likhnaa
Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhna
Humain bhi yaad aaj tak wo
Nazar se harf-e-salam likhna
Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhna
Kabhi kitaabon main phool rakhna
Khabhi darakhton pe naam likhnaaaaaaaa!**
Simply Classic, Awesome, & Najaane kya kya! ![]()