~Kabhi kisi ko muqammil jahan nahin milta
~Kahin zameen to kahin aasmaan nahin milta
~Jissey bhi dekhiye woh apne aap mein gumm hai
~Zubaan mili hai mager humzubaan nahin milta
~Bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholay
~Yeh aisi aag hai jismein dhuwan nahin milta
~Tere jahaan mein aisa nahin ke pyar na ho
~Jahan umeed ho iski wahan nahin milta
~Kabhi kisi ko muqammil jahan nahin milta
~Kahin zameen to kahin aasmaan nahin milta