Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta

Jisay bhi dekhiye wo apne aap mein gumm hai
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahi milta
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahi milta
Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

Bhuja saka hai bhala kaun, waqt ke sholay
Ye aisi aag hai jismay, dhuaan nahi milta
Ye aisi aag hai jismay, dhuaan nahi milta
Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

Tere jahaan mein aisa nahi ke pyar na ho
Jahan umeed ho iski, wahan nahi milta
Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta
Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

Re: Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

I love the first two lines

Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta

Re: Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

I love the last two lines

Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh kahin aasmaan nahi milta<!-- google_ad_section_end -->

:@:

Re: Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

:@:

Re: Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

Nice :k:

Re: Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

mairi cycle hawa main bhi urrti hay aur sarka par bhi chalti hay :cobra:

Re: Kabhi kisi ko Mukammal jahan nahi milta

:eek: Cycle hai ya Uran Khatola