Kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko

Kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko
na jaane kaise Khabar ho gayi zamaane ko
chaman meiN bar’q chhoDati nahi kisi surat
tarah tarah se banaata huN aashiyaane ko
dua bahaar ki maNgi to itane phuul khile
kahin jagah na mili mere aashiyaane ko
chaman mein jaana to sayyaad dekh-bhaal kar jaanaa
akela chhoD kar aayahuN aashiyaane ko
meri lahad pe patangoN kaKhuN hotahai
huzuur shamma na laaya kareN jalaane ko
suna hai Gair ki mehafil meiN tum na jaaoge
kaho to aaj saja luN Ghareeb-Khaane ko
daba ke qabr meiN sab chal diye dua na salaam
zara si der meiN kya ho gaya zamaane ko
ab aage is meiN tumhaara bhi naam aayegaa
jo hukm ho yaheeN chhoD duN fasaane ko
“Qamar” zarabhi naheeN tum ko Khauf-e-rusvaai
chale ho chaaNdani shab mein unheN bulaane ko

Lajawab choice from the collection of Qamar Jalalvi.

Beautiful... :)

ASHA BHOSLAY sung this Ghazal.. and.. its Worth Listening ...

Qamar Tumko HameeN kuch Janaty haiN
Nazar aatay ho kesay mautabar se ....

:k:

show_sha

Golden_Scorpion
rsjs

thanx friends

Re: Kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko

good 1…:k::k:

thanx reet