Kabhi kaha na kisi se teray fasaane ko
Na jaane kaise Khabar ho gayee zamanay ko
Chaman maiN barq naheeN choDati kisi soorat
Tarah tarah se banata hooN aashiyanay ko
Sunaa hai Ghair ki mahafil maiN tum na jaaoge
Kaho to aaj sajaa looN Ghariib-Khaanay ko
Dua bahaar ki maangee to itanay phool khilay
KaheeN jagah na mili mere aashiyanay ko
Chaman maiN jana to sayyaad dekh kar jana
Akela choD kar aaya hooN aashiyanay ko
Meri lahad pe patanngon kaa KhooN hotaa hai
Huzoor shamma na laayaa karaiN jalanay ko
Dabaa ke chal diye sab qabr maiN duaa na salaam
Zaraa see der maiN kya ho gaya zamanay ko
Ab aage is maiN tumhaara bhi naam aayega
Jo hukm ho to yaheeN choD dooN fasaanay ko
‘Qamar’ zaraa bhi naheeN tujhako Khauf-e-rusavaai
Chale ho chandni shab maiN unhaiN mananay ko