kabhi kabhi dil yeh chahta hay
tumhari shamon ka haal poochoon
sawal poochoon
keh fikr e farda mai kaisee guzri
yunhi kabhi mera naam aaya tumhare honton pe aik pal ko?
meri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bhi raston per?
kabhi kisi din tumhari subuh ke der per jagi sada e dastak?
kabhi ibadat ki kafiyat mai tumhain mera bhi guman guzra?
tumhare sehn e dua se mera bhi dhiyan guzra?
kabhi tumhare badan pe bhi shab azab ban ker thahri?
kabhi kabhi dil yeh chahta hay, sawal poochoon
magar mai chup hoon
hamare darmian yeh jo deewar e ajnabiat hay yeh ghanimat hay
isi mai touqeer e herf o lab hay
yehin per terk o talab ki had hay
Re: kabhi kabhi dil yeh chahta hay
wah wah ...
Re: kabhi kabhi dil yeh chahta hay
bahot khoob....!
Re: kabhi kabhi dil yeh chahta hay
wonderful sharing :)