Kabhi kabhi dil yeh chahta hai tumhari shamon ka haal poochon sawaal poochon ke fiker e farda main kaisi guzri younhi kabhi mera naam aaya tumhare honton pe ek pal ko mrri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bi raston main kabhi kisi din tumhari subha ke darr pe jagi sadaye dastak kabhi ibbadat ki kayfiat main tumhein mera bi gumaan guzra tumhare sehan e dua se mera bi dheyaan guzra kabhi tumhare badan pe bi shab e azaab ban ker thehr gayi thi kabhi kabhi dil yeh chahta hai’sawal pochon mager main chup hoon hamarey dermiyaan yeh ju deewar e ajnabeeyat hai yeh gannimet iisi main tukeere hurf o lub hai yehin pe tarq o talb ki hadd hai