kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

Mujhay kaafi dino sey bohat ghussa aaraha tha Confused Gadha par :smiley:
par main ghussay ka izhaar nahi kartee thee..lekin kal mujh sey jab bardasht nahi hua tou meray ghar bhabhi ki bahan apni 1 saal ki beti kay saath aai hoi theen :smiley: main backyard main bethi hoi thee samajh nahi aaraha tha kah apna ghussa kaisay utaroon..hahaha..woh bachee crawl kartee hoon door kay pass aai..mujhay ek baat soojhi :wink: main nay lapak kar usko godee main lay lia..aur thori deyr tou usko khilaya..takay woh mujh sey khush hojai..hahaha..phir main nay uskay motu motu gaal jab nochay tou usnay meri taraf dekha aur phir ek zorr daar thappar meray moonh par mara kah meray glasses girr paray..:hehe: phir tou mujhay bara mazaa aaya usko aisay tang karkay..main nay baar baar uskay motu motu gaal nochay..aur baar baar usnay jawab main mujhay thappar mara :rotfl: hahaha..

Re: kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

kabhi kabhi nahi hamesah aisa hi hota hai .... kasi kay gal nocho gi to thappar hi padaein gay :)

Re: kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

woh choti see bachee itnee chalak nikli main nay socha tak nahi tha..shakal sey baree masoom lagtee hai..aur itnee chalak :D lol

Re: kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

bachiyan hoti hi aisi hain ... dekhnay main masoom ...

Re: kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

aap ko kaisay pata?

Re: kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

awwwwwwwwwwwww.. dats soo cute :hugz: us bachi ko mere pass bhej dain.. us ko punch marna sikha doon gaa :smiley:

Re: kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

tum kya seekhao gay..meray ghar main mera chota nephew itna shareer hai kah usnay usko kick maarna seekha dia :hehe:

Re: kabhi kabhi aisa bhi hota hai..hahaha

kia tashadud pasand muhabat hay tumharee : O